Wednesday 4 April, 2012

Jo hu main…


Jo hu main wo dikhati nahi,
Jo thi nahi wo chupati bhi nahi,
Na chupati hu, na batati hu,
Bus ek kashmakash mein reh jati hu,
Isliye batati hu wo jo hai sahi,
Par chupta wo bhi nahi jo sach nahi.
Dost sach maan lete hai mera chhal,
Hai wo chhal, ya nahi, kabhi ye bhi samajh paati nahi.
Kuch hai kahi, kuch ankahi,      
Kuch logo ne sunn li aur kuch reh gayi ansuni.
Par phir hu main kya, sach hai kya,
Ye mujhe hai pata, jo bus rahega ankaha,
Hai ek aisa panna jo koi na padh saka,
Hai ek aisi kahani jo koi puri na jaan saka.

Jaisi hu, khush hu main,
Na chaha kabhi, na chahungi main,
Ki jaane koi jo hai ankaha,
Ki padhe wo jo hai na likha,
Samjhe jo chahe log mujhe,
Maane koi pari ya balaa,
Jo hu main wo rahungi main,
Chahe maano wo sach, ya kehdo ki maine hai chhala,
Kyunki hu jo main wo dikhati nahi,
Aur jo thi nahi, wo chupati kabhi nahi…

2 comments: