Sunday 9 October, 2011

Kehne ko hai kayi log yaha


Kehne ko hai kayi log yaha,
Par kyu lagta hai sab kuch khali,
Kehne ko hai dost kayi guna
Phir kyu hai ye labb khali..
Dekhti hu jab logo ko, haste hue muskurate hue
Toh kyu aa jata hai aanoke mein pani..

Khush hoti hu dusro ki khushi mein
Par apni khushi khoj rahi hu..
Hissa banti hu dusro k gamo ka
Par mere gum ka saathi dhund rahi hu..
Jaa rahe hai sab apni apni jagah,
Main apni manzil talaash rahi hu
Jana hai mujhe kaha,
Aaj bus khud se ye hi puch rahi hu

Jo ho sakte the kareeb wo kabhi mille nahi hai
Jo the kabhi kareeb, aaj kayi kho gaye hai.
Ek ajeeb dard uthta hai dil mein,
Dekh k unko auron k saath
Par phir samjha lete hai iss dil ko
Ki chod gaye hai wo humara haath
Saath chalne wale aaj muh modd gaye hai
Jo the teri jaan, bhatak gaye hai
Matt taras tu unke liye, jo tujhe yu tanha kar gaye hai..

Par phir dil kehta hai
Humein hi kyu chod gaye hai
Yu tanha kar gaye hai
Akela kar, chale gaye hai
Hum toh the humesha unke saath
Harr raah mein, har modd pe
Toh phir kya hue wo baat
Jo ruth gaye wo
Kaise manaye unhe
Wapas kaise laye unhe
Aakhir hum bhi hai insaan
Humein bhi dard hota hai
Hum bhi sahara chahte hai
Talashte hum bhi hai ek aise saathi ko
Jiske samne dil ki baat keh sake
Humein bhi chahiye wo hassi,
Wo masti, wo pagalpan,
Humein bhi chahiye ek aisa dost
Jo rahe humare saath
Har pal har waqt..

Kar rahe hai bus ab ussi pal ka intezaar
Jab koi sacha dost mill jayega
Jo har par saath nibhyega
Phir na hoge hum yu tanha
Aur na hi koi humein akela chod k jayega…

No comments:

Post a Comment