Monday, 17 October 2011

Tanha..


Aaj phir hai dil tanha
Beh rahe hai ashk phir aaj
Phir aa gaya hai wo khalipan
Jissey bhaag rahi thi har lamha
Dhund rahi hu iss bheed mein
Wo saath jissey keh saku apna
Wo haath jissey thaam k kar saku paar iss dard ko
Ek aisa saath jo thaam le inn aasuo ko..

Iss bhaag daud mein kho gayi hu main
Talash rahi hu apne hone ki wajah
Kyu aayi main, kyu laya gaya mujhe yaha
Jaha humesha mujhe rehna hota hai tanha..

Thi kabhi main kaabil, jeet rahi thi har baazi
Jenne ko tab thi main raazi
Par ab lagta hai jaise chod du inn sabko
Iss duniya ko, iss duniya k rishto ko,
Iss bhaag daud ko, jisne kar diya hai tanha mujhe..
Kya pa lungi main, iss duniya ki bhaag duad se
Jo hai sabse ahem, wo toh paa saki na main..

Kab tak yu likh kar baya karu apna haal
Kadr kisse hai meri ya meri iss likhawat ki
Hai bus kuch likha hua duniya k liye
Ehsaas kaha hai kissi ko inn panktiyo k dard ka, uski kahani ka
Hai bus kuch likha hua sabke liye
Jissey acha keh k badh chale aagey
Hai samay kiss k pass jo tham le mujhe,
Jo de sake mujhe koi aas
Jo rok le mujhe yu rone se
Jo rok le mujhe tanha hone se.. 

No comments:

Post a Comment